Dua-e-Masura Ka Ta’aruf
Dua e masura bahut chhoti dua hai. Lekin behtar makbul aur afzal dua hai. Ye dua namaz me tashahud ki halat me attahiyat aur darude ibrahim ke bad padhte hai. Iss dua me allah subhanu tala se ham allah ki madad, hidayat aur mafi ki darkhawast karte hai . Ye dua hazrat muhammad sallallahu alehi wasallam se mansub hai. Aur iski fazilat bahut jada hai. Is dua se mukhtalif maksad ke liye allah se dua karte hai. Dua e masura namaz ke bad padhne se sukun barkat aur allah ka kurbat hasil hota hai. Jo har muslaman ke liye behtar mufid hai.
Dua-e-Masura Ki Fazilat
Dua-e-Masura mein bahut zyada fazilat hai. Ye dua padhne se Allah Subhanahu Wa Ta’ala se Allah ki madad, hidayat aur maafi ki darkhawast ki jati hai. Is dua se mukhtalif maksad ke liye Allah se dua karte hain. Dua-e-Masura namaz ke baad padhne se sukoon, barkat aur Allah ki qurbat hasil hoti hai.
Dua E Masura In Roman English And Tarjuma
Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wa la yagfiru dh-dhunuba illa anta faghfir li maghfiratan min indika warhamni innaka antal-ghafurur-rahim.
Tarjuma Ye Allah mene beshak apni jan par bahut jada zulam kiya hai. Aur tere siwa koi gunah ko maaf nahi kar sakta ,to apni khas bakshish se mujhe maaf farma de aur mujh par reham farma yakinan tu bahut bakshne wala hai behtar meharban hai.
Dua-e-Masura Ki Ahmiyat Namaz main
Dua-e-Masura ek behtar dua hai. Ye dua ko padhna sunnat se sabit hai. Dua-e-Masura ye dua hum namaz mein padhte hain. Iss dua ke tasawwur mein padhte hain; ye dua attahiyat ke baad Darude Ibrahim ke baad padhai jati hai.
Dua-e-Masura Parhne Ka Tarika
Dua-e-Masura namaz mein padhi jati hai. Ye dua tashahhud mein padhte hain. Attahiyat ke baad Darude Ibrahim padhne ke baad ye dua padhi jati hai. Ye dua baaki dua ki tarah hi padhte hain.
Dua E Masura Padhne Ke Rohani Fayde Ye Hote Hai Ki Iss Dua Ko Padhne Se
Dua-e-Masura padhne ke rohani fawaid ye hain ke agar ye dua namaz mein padhne se insaan ke dil mein sukoon, barkat, aur Allah Subhanahu Wa Ta’ala ki qurbat hasil hoti hai.
Dua E Masura Ki Hadith Ki Roshni Me
Sahi Bukhari Hadith number 6326 se riwayat hai:Unhone rasoolallah sallahu alehi wasallam se kaha ki mujhe esi dua sikha dijiye jise me apni namaz me padha karu nabi karim sallahu alehi wasallam ne ye keh Aye Allah!mene apni jaan per bahut zulam kiya hai aur gunaho ko tere siwa koi maaf nhi karta isliye meri maghfirat kar aisi maghfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshak tu bada maaf karne wala hai bada raham karne wala hai.aur amar bin haris ne bhi iss hadis ko yajeed se,unhone abu kher se , unhone abdulla bin amar {razi allahu anhu }se suna ki abu Bakar siddik se razi allahu anhu ne nabi karim sallahu alehi wasallam se kaha akhir tak.
Conclusion
Dua-e-Masura ek behtareen aur makbul dua hai jo Hazrat Muhammad Sallallahu Alehi Wasallam se mansub hai, aur iske bare mein tafseelat humari website Islamic Jankari par dastiyab hain. Is dua ka padhna namaz ke baad sukoon, barkat aur Allah ki qurbat hasil karne ka zariya hai. Ye dua namaz mein tashahhud mein attahiyat ke baad Darude Ibrahim ke baad padhte hain. Nabi Kareem Sallallahu Alehi Wasallam ne apne sahaba ko is dua ki talim di aur iski fazilat ko bayan kiya. Humari website Islamic Jankari aapko is dua ki ahmiyat aur uske roohani faide samajhne mein madad karti hai. Is dua ko apni namaz ka hissa banane se insaan apne gunahon ki maafi aur Allah ki rehmat ka talib banta hai, jo har Momin ke liye ek azeem niyamat hai.